Apane Bank account ka balance free main kaise dekhe
Dosto jaise ki hum jante hai ki abhi manniy pradhan mantri ji ne 500 or 1000 ke not band kar liye hai . Jiski vajha se bank me kaifi bhid lag rahi hai or agar hum kisi vajhase se bank nahi jaa paa rahe hai or hamare pass sms banking ya internet banking ki suvidha nahi hai to yh code aapko bahut kaam aa sakta hai . Hum jab bhi apna paisa bank me jama karte hai to bahut se bank me pass book update nahi kiya jata ya fir uske liye printer machine hoti hai par vha bhi kafi bhid lagi rahti hai to hame yha pata nahi hota ki hamare account kitna paisa jama ho gya hai ya nikala gya hai.
To usake liye aaj main aapko kuch number batane ja raha jisaki madat se aapko aapke account me kitani rashi hai vha pata chal jayengi or ha khas bat hai ki hame bank ki taraf se mini statement bhi pata kar sakte hai.
App ke paas bus bank register mobile no hona chahiye or fir aako kuch number dial karna hai jaise aap agar sbi bank user ko to aapko *99*41# dial karna hai fir vh aapko kuch option denga jaise balance chque ya mini statement jaise.
1. Har bank ke sms code jise Multimodal Code kahte hai jise aap apne mobile par deal kar le.
2. Agar aapko Short Code punche to use bank ka short Code de
2. IFSC Code kabhi kabhi pucha jata hai to aap uska bhi use kar sakte hai.
Dosto yha ek dam free hota hai or eske liye aapke mobile par balance nahi bhi ho to aap yh seva ka labh le sakte hai or iske liye koi bhi internet ki aavshyakata nahi hai.
Agar aapko aapka Aadhar card ka Over Draft Status dekhana hai ho to *99*99# dial karke pata kar sakte hai.
Bank sms number is prakar hai.
0 comments:
Post a Comment