Aaj yh post sirf
Blogger ke liye hai . Agar aapk Blog Blogger par hai to aapko yh page jarur
padhna chahiye kyoki jub bhi hum koi blog banate hai to vh blog google par
dikhna chahiye or uspe jyada se jyada visit aani chahiye . Bas aapko kuch Tips
batane ja rahahu uskeo aapko karna hai
1. Permalink
Permalink yh bahut hi jaruri blog ke liye kyi jub bhi hum koi post publish
karte hai to use by deflate link mil jati hai par yh link bahut badi hone ke
karan jaise us link me aapke blog ka url aa jata hai usase seo problem de jata
hai or google par aapka blog pahle page par nahi aata jiske karan hamare blog
par visit kam aati hai to aap jub bhi post dalte hai to permalink jarur de .
Lekin dhyan rakhe ek baar aapne post ko publish kar di to fir usame aap change
nahi kar sakte.
Example :Yha apko Automatic Permalink chek hatake Custom permalink par chek lagana hai.
Yha aapko keval 5 ya 6 word ka hi link de sakte hai jyada word dene par yh aapke word kat deta hai .
Eske baad Done kare .
2. Search Description :
Blog seo ke lihaj se search Description yh bahut jaruri hai. Agar aapke Blog me yh nahi najar aa raha hai to aap Blog setting me jarak ese kar le. Search Description yh hota jaise mano ki aapne koi post Blog me post ki or google me jo koi bhi keyword deta hai to Search Description me aapne jo description diya hai to usse milte julute keyword ko google pahle page par dikhayi denga. jisse ki aapki Blog ki Traffic badhne ki puri aasha hai.
Example :1. Sabse pahle aap Blog setting par jaye vha aapko Basic Setting par click karna hai
2. Description Edit karke Vaha apne Blog ke bare me likhna hai jyada se jyada 500 character me.fir save change kare . uske baad aap jo bhi nes post ya aapke Blog ki har post par aap Search Description de sakte hai or Dosto yh karna aapke Blog ke liye bahut jarruri hai
3. Custom robots header tages :
Esme esa hai ki google ki ya koi any search engine ke robots aapke website ya Blog par visit karte hai to un robots ko kaise bhi taklif na ho eske liye hame apne blog ke liye kuch setting karni hai jisase ki aapka Blog google search engine par thik tarike se aaye.
Example :
Yha aapko Blog setting me jakar Search preferences per click karna hai. Custom robots header tags ko Edit karna hai.
Niche dikhaigai image ki tarha hi aapko yha chek lagana hai or save karna hai .
4. Blog ki image se seo kaise badhaye
Jub bhi hum blog me koi image rakhte hai to uske jaiye bhi hamara Blog ka seo badh sakta hai. lekin problem yha aati hai ki hume eske baare me jyada pata nahi hota. Aap apne blog ke liye kahise bhi image le sakte par us image ka naam aapko sahi dhang se dena hai. matlab aapko image ki properties me jakar image ki sahi jankar deni hai .
01.jpg |
mahendra-sing-doni.jpg |
5. Seo ke hisab se Blog post kaise honi chahiye
Jab bhi koi post likhate hai to us post me kamse kum 300 word hone chahiye. Agar ho sake to aap unique post dalne ki hamesh koshish kare. har post me 3 se jyada image ho to or bhi acha hai. Jo bhi aapne Post Tital diya hai usake hisab se hi apni post likhe. jo aapko post me batane hai use blod ya fir heading me likhe. Appke post me Heading , Sub Heading, Minor Heading honi cahhiye. Agar jarurat padhe to Word ko Bold ya Underline kare.
Aapke post me aapki dusri post ka line ho to user jyada der tak aapka Blog dekh sakta hai. Or Aap Apna Blog Daily update kare yani daily post publish kare. Agar aapne apne post yh sab kiya to aapka blog seo se bahut acha rahenga.
6. Blog ke Webmaster Tools add kare
Apne jo bhi Blog banaya uske liye Webmaster Tools add karna bahut jaruri hai. or yh simple hai par bahut jaruri hai eske siva aapka blog google ya koibhi search engine par nahi dekhenga .To dekhte hai kis tarha hum Google Webmaster Tool add kare
Example :
Sable palhe aap google webmaster tool par jaye . (Apne Blog ke gmail se ) yha aapko aapke blog ka url dekar ADD PROPERTY par click karna hai.
Fir aapko Alternate methods par click karke HTML tag par chek lagana hai Diya huva Code copy karna hai . uske bad Blog ke Template me jakar Edit Html par click karke Cont+f karke <head> search karna hai. or <head> ke niche yah code pest karna hai .Or badme Tempalte save karna hai. fir yha aakar Verify par click karna hai 24 Hours ke baad aapka Blog Google search engine par jarur dikhenga.
7. Social Networking Site :
Social Networking Site jaise Facebook, Google Plus, Twitter , LinkedIn .etc es par aap apna profile bana le or ho ske to jyada se jyada friends bana lijiye. Aur jub bhi aap koi post likhate hai to aap yha se us post ko share kar sakte hai . Jyada tar Blog ki traffic yha se hi aati hai. Jaise koi aapka friends aapke post ko like ya share karta hai to vh post jyada se jyada logotak pahuchati hai yane free me apne Blog ki publicity bhi ho jati hai maine yha jo aaj popular social networking site hai vhi di hai aap apne hisab se koibhi social site chun sakte hai.
8. Back Links & Guest Post :
Back links ka matlab hai ki Any kisi ke Website ya Blog par apni blog ki link dena. Jaise dosto hum kisi ka blog ya website padhate hai to hume vha comment box dikhate hai agr hum vha comment kare or options me hamare site ka url de to jab koi dusra vyakti vh blog padhenga to vha se aapke Blog par aa sakta hai . mai to aapko salah dunga ki aap har blog par comment kare or apne Back Links badhaye.
Guest Post ka matlab ki aap any blog ke liye koi post likhe agar jiske blog ya website ke liye post likh rakhe hai unhe aapki post achi lagi to to aapki Guest post publish karnga to unse jude huye visitor bhi yh post jarur padhenge to jahir si baat hai ki vh aapke Blog par jarur visit karenge . Es tarha aap apne blog ki traffic aasanise badha sakte hai.
This comment has been removed by the author.
ReplyDeleteAndroid phone se blog ka basic setting kaise kare
ReplyDeletenice post sir and very helpful thank you sir.
ReplyDeleteNice Post Sir
ReplyDeletehttps://bharatart.com
nice article sir
ReplyDeletefor more information visit my site
https://www.jalluhelptech.in/2019/10/blogger-blog-ki-seo-setting.html?m=0
https://advanceinhindi.blogspot.com/?m=1
ReplyDeleteSee my blog
great post, thanks for Shering good information with us
ReplyDeleteHello Blogger Friends,
ReplyDeleteI am a blogger and teacher I teach blogging for a successful blogger Today I will teach you Blog Post Ka Seo Kaise Kare FREE टिप्स हिंदी में पढ़े