Friday, 18 March 2016

// // Leave a Comment

Blogger page 2

Abhi aapne apni pahali post create karke publish  bhi kar di hai . To hum vistar se janege MY BLOG MENU ke bare me yh blogging ka sabse mahtvpurn hissa hai or yh janna hamare liye bahuthi jaruri hai. Esme   Overview, Posts , Pages, Google + , Stats , Earning , Campaigns , Layout , Template , Setting yh menu aate hai.


Overview : To yha hum sabse pahale baat karenge Overview ki . Esme hum apne Blog ke baare me jaan sakte hai, Jaise hamare Blog par kitne visitor aaye hai. Hamara Blog ke kitne page view hai. Kis Kis desh se hamare Blog ko dekha gaya hai or konsa browser use karke kitne log visit kar gaye hai. Or any bate yha se pata chal jaati hai.
  •  Blog me overview kaise dekhe 

Posts : yha hum hamare Blog ki posts dekh sakte hai ki hamne ab tak kitne posts Blog me dale hai. hum yha se  posts ko Edit , View, Share , Or Delete bhi kar sakte hai . Hame agr koi  comment karata hai to hamare posts ke aage hame yha dikhta hai. Or hamne yh post kab publish ki eski sari jankari hme yha se pata chal jati hai.
  • Blog me posts menu kaise kare

Pages : Yh thodi bahut posts jaise hi kam karti hai par Pages me jyadatar hum hamare bare likhte hai  posts me jaise baad me kuch edit karte hai par page me hamne hamare baare me likh le to use baar baar edit karne ki jarurat nahi hoti . Blog ke hisab se hame kamse kam ek page likhna aavshyk hai to aap apne hisab se apna kuch experience yha apne visitor ke sath share karna chahte ho ya or bhi any bate yha likh sakte hao. jaise aapne any Blog About me dekha honga usei traha yh hai.


Google + : Yh ek seva hai jo hame google deta hai .Yha apna profile aapko banana padta hai.uske baad hame Google + me hamare mitr banane hai yh kuch facebook ki trh kaam karta hai . Uske baad jab bhi koi post publish karonge to yh aapke mitr ko chali jayengi usse aapke Blog ki visit badhane ki puri aasha hai .
  • Blog me google+ kaise use kare

Stats : Yh bilkul overview jaise hi hai yha hame apne Blog ke baare me jan sakte hai. Jaise hamare Blog par kitne visitor aaye hai. Or hamare Blog me kitne page view hai. Kis desh se hamare Blog ko dekha gya hai konsa Browser use karke kitne log visit karke gaye hai. Or bhi any bate hame yha se pata chal jati hai.

Earning : Ab yh bahut hi jyada mahtvpurn hai. kyoki hamane Blog hi eske liye banaya hai. Yha hamko ek adsense account diya jata hai. Joki google ki trf se hamare Blog me kuch any company ke add  dikhayi jate hai . OR agr koi visitor hamare Blog se use add par click karta hai. To hamare account me kuch paise jama ho jate hai . Jaise hi 100 Dollar jama ho gaye to hamare account par transfer kar di jati hai. Agr aapka Blog nya hai to kam se kam aapka Blog 6 mahine purana hona chahiye or kam se kam 50 post aapke Blog par hona chahiye Tab aapko yh adsense account milta hai.
  • Blog ke liye adsense account kaise le

Campaigns : Yha hum apne visitor Grow kar sakte hai or any company se tab ho sakte hai. Or any company ke add lga sakte hai.
  • Blog me campaigns kya hai
Layout : Jo bhi template ya theme Blog ke liye milti hai use hum yha se badal sakte hai jaise Blog ka Favicon ,  Header , Content , Sidebar , Add a Gadget,  Footer  yh sab hum yha se badal sakte hai.
  • Blog ki layout setting kaise kare

Setting : Sabse ant me Setting aati hai. Hamare Blog ki Setting bahut hi jaruri hai ese karna agr aapko nahi aata to pahle aap ese padh lijiye kyoki agr aapke Blog ki setting me kuch gadbad ho gayi to koi bhi search engine aapki Blog ko nahi dikhaiga.
  • Blog ki setting kaise kare 


<-: PREVIOUS PAGE :->  1 2 3 4  <-:  NEXT PAGE  :->

0 comments:

Post a Comment