Friday, 25 March 2016

// // 2 comments

10 free calling android apps

Aajke jamane me landline ka estemal na ke barabar ho gya hai. Aaj mobile ka estemal na karna pichadepan ki nishani ban gya hai. Mobile ki vajhse duniya karib aa rahi hai . Magar mobile call karna bahut hi kharchila ho gya hai. Kuch log esase bachne ke liye aadhunik Apps ka estemal kar rahe hai. To aayiye Aaj hum bhi jane ki kaise hum bhi kuch aadhunik Apps se free me call kar sakte hai.




Android Mobile ke 10 Best Apps jo apke call ko free bana denge.

1. Facebook Messengers  :


Sabse pahle list me hai facebook Messengers. Facebook aajki duniya me sabse successful application hai duniya me sabse jyada user esi ke pass hai. Magar ajkal hame vh itana acha nahi lagta. Magar hame facebook esa advantage deta hai jiske baare bahutse logo nahi pata. Hum facebook Messengers ki baat kar rahe hai. Yha se hum free calling kar sakte hai (Par jisase aap bat karna chahate ho uske pass yh application hona jaruri hai).  

2. Google Hangouts 

Yh google ki taraf se hame di gyi seva hai. Hume yh messaging ki service deta hai.vh bhi sticker ke sath. Hum yha free calling ke siva video calling karna bhi sambhav hai. Yh google accout se shuru hota hai . Jaise ki hum jante hai ki jo Google Play Store  jis mobile me honga use google ka account hona jaruri hota hai. App ese aasanise Google Play Store se Download kar sakte hai. (Par jisase aap bat karna chahate ho uske pass yh application hona jaruri hai).  


   3.  Kakao Talk : Free call & Text

Kakao Talk yh sabse jyada popular North America me hai . Hum esase Group Calling badi asani se kar sakte hai. Yah sub mobile ko support karta hai. Agar aapke friends ke iOS devices , Blackberry devices , or Windows Phone par yh aasani se kam kar sakta hai. Kakao Talk ek multi-platform support application hai. ( Agar aapko ese use karna hai to aapke friends ke pass bhi Kakao Talk app hona aavsyak hai nahi to aapko free calling ketode paise lag sakte hai. 

    4. Line : Free Call & Messages

Line yh bhi popular apps hai dinya me eske 400 million se jya user hai. Hum line apps jiske pass nahi hai usse kam paise me baat kar sakte hai.Yha hum Test message, Groups message, kar sakte jaise hum Kako application me karste vaise hi. Yh har ke Multi-programming ko support karta hai. Yha hum mobile ke sath apne pc par use kar sakte hai. Yh ek badhiya tarika hai jo log Android use nahi karte vh apne computer par use kar sakte hai.

   5. magic App by magic Jack

Yh baki apps ki tarha kafi achhi apps hai. Eske sabse jyada user UK or Canada  ke hai. yha hum free calling ke Text message bhi bhej skate hai. Esase hum jiske pass yh apps nahi hai usase kum paise baat kar sakte hai. magic apps ek bahut achha tarika phone karne ka esase koi error nahi aata or aapki bat kum internet speed ki vajhase kabhi nahi katati . Baki sub baki ke app ki tarah hi hai.   

    6. Nimbuzz Messenger / Free coll

Ek apps ke kya kane dosto . Esse hum Message, Group Chat , voice calling aasani se kar sakte hai. Yh apps baki ke apps se aasan bhi hai. Or usme sabse mahtav purn baat hai ki yha HD calling hoti hai. Es apps se hum jinke pass yh apps nahi hai use bhi call kar sakte hai par hume iske liye thode paise kharch karne hai. HD calling ka matlab yha kabhi bhi error nahi aata or aapki baat aasanise ho jati hai. Es apps me or bhi kahi option hai jise aap use kar sakte hai. 

Skype app duniya me sabse jyada popular hai. Sabse jyada user yh apps karte hai. Jinke pass Skype apps hai unse aap free me calls kar sakte hai. Par agar yh apps aapke friends ke nahi hai to thode paise aapko lag sakte hai. Yh apps har mobile operating system me chal jati hai. Yha aap Group Calling, Video , Chat badhihi aasani se kar sakte hai. Yh apps thoda bahut facebook messenger ki tarha hai. Is apps ki popular service ki vajhase bahut sare user ise use kar rahe hai.      

Abhi kuch sal me Tango Messenger ke user me kafi badhoti hui hai. Abhi abhi esne free calling yh option apne apps me add kar liya hai. Agar koi dusra user ke bhi Tango Messenger apps hai to aap usase free call, Text Message ya Group chat kar sakte hai. Tango Messenger baki apps se alag hai useki vajha hai yha app apne friends ke sath free calling karte huye Online Game khel sakte hai. 

Yh application bahut hi aasan hai. Yha hum free call kar sakte hai. Ab tak duniya me kam se kum 200 million user hai. Yh bhi ek achi apps hai hai es aap use kar sakte hai. Baki ke apps ki tarha esme free text message bhej sakte hai.   



10.Yahoo Messenger 

Sabse ahikr me hum Yahoo Messenger ki baat kar rakhe hai yh apps utna acha nahi hai jitna ki bakike apps hai . Es apps ko chalane ke liye plugin ki aavsykta hoti hai. bina plugin ke hum yha voice call bhi nahi kar sakte hai or nahi message bhej sakte hai. Agar aapko yh use karna hai to aap eski plugin jarur download kare.

Thanks !


2 comments:

  1. I really impressed after read this because of some quality work and informative thoughts . I just wanna say thanks for the writer and wish you all the best for coming!. weChat

    ReplyDelete
  2. Nice blog keep posting blog about Video calling apps for Androids. Recently i discover a Mobile app name Bingotel which provides long distance video calling with high quality and connectivity. It has very user friendly design to explore new connections and create new videos invitations and introductions.

    ReplyDelete