Thursday 22 December 2016

// // 1 comment

Browser main hidden password ko kaise dekhe Bus - 1 minute main

Browser main hidden password ko kaise dekhe Bus - 1 minute main
Dosto kaise ho .......
Dosto hum main se har kisi ko yh aadat hoti hai ki hum hamare computer ya laptop par apna koi bhi pass word remember kar ke rakh dete hai. or hum jab bhi apna koi bhi on line account kholte hai to vha par password remember hone ke karan hame koi dikkat nahi jati par jub bhi hum koi any computer ya laptop pe hamara account kholte hai to hum paate hai ki hame hamara account ka password yaad nahi. us samay aap aapke computer ya laptop par remember kiya password dekh sakte hai fir use yaad kar sakte hai.

PAHILA TARIKA

Step 1 .

Aapko abhi apna password nahi najar aa rha hai . to niche diye step ko flow karte jaye.

Step 2.

Upaar aapko jo ye tale saman icon dikh raha hai us par click kare.

Step 3.

View Saved Passwords par click kare

Step 4.

Are you wish to show your passwords? par click kare.

Step 5.

Show passwords kare .

Step 6.

Abhi aapko aapke browser main jo bhi hidden password hai o aapko najar aa jayenge.


DUSARA TARIKA

Yh bhi ek aasana tarika hai hidden password dekhane ka 

Step 1 :

Yha aapko password select karna hai.

Step 2 :
password select karne ke baad aapko mouse ki right click press karke   Inspect Element (Q) par click karna hai or niche dikhai gayi image jaise password ki jagha aapko text likhana hai aapko password najar aa jayenga


Step 3 :




Thanks !

Read More

Tuesday 22 November 2016

// // 1 comment

Blogger Posts se Author Name ya Author profile kaise Hide kare

Namskar Dosto
Dosto jab bhi hum koi Blog banate hai to us ke liye koi template lete hai to vha hamara naam ya Author profile aa jata hai . Agar aapko vha chahiye to thik par par bahut se blogger nahi chahate hai ki unki koi bhi information us blog par dikhe. To unke kiye yha aaj ki post hai,
Blogger Posts se Author Name ya Auther profile kaise Hide kare ?
yh bahut hi aasan hai

Step 1 :

Blogger ki Dashboard par jakar Template par click kare

Step 2 :

Edit HTML par click kare.

Step 3 :

Ab aapko Ctrl+f karke Search Box me "<data:post.author/>" copy karke pest kare or "<data:post.author/>" ko delete kare . aapke template me jitne baar <data:post.author/> yh vha sab jagaha delete karna hai. fir save template kare .
Aapne saflta purvak  Blogger Posts se Author Name ya Author profile hide kar liya hai.

Thanks !

Read More

Tuesday 15 November 2016

// // Leave a Comment

Direct tax ya Indirect taxs ko kaise yaad rakhe

Direct tax ya Indirect tax ko kaise yaad rakhe
Namskar Dosto 
aaj kal ki bahut si competitive exam me Direct ya Indirect tax par kuch saval jarur puchate hai. Jise ki yaad rakhana bahut hi aasan hai. Bus aapko do shabdh yad rakhane hai Direct Taxes ke wepro.co.in or Indirect Taxes ke liye Excuse me bus agar appne yh dono word yaad kar liye to aap Direct tax konse hai or Indirect tax konse hai yh aasani se yaad kar sakte or inse jude sawal ka jawab aasani se de sakte hai.

Direct tax ya Indirect tax ko kaise yaad rakhe

Tricks Direct Tax : "wepro.co.in" 

We  : Wealth Tax
Pro  : Property Tax
Co   : Corporate Tax
In    : Income Tax

Direct tax ya Indirect tax ko kaise yaad rakhe

Tricks Indirect Tax : : " Excuse me "

Ex : Excise Tax
Cu : Customs Tax
Se : Service Tax
M  : Market Tax/Vat
E  : Entertainment Tax

50 rare coins in India 


Thanks !

Read More
// // Leave a Comment

Apane Bank account ka balance free main kaise dekhe

Apane Bank account ka balance free main kaise dekhe

Apane Bank account ka balance free main kaise dekhe 

Dosto jaise ki hum jante hai ki abhi manniy pradhan mantri ji ne 500 or 1000 ke not band kar liye hai . Jiski vajha se bank me kaifi bhid lag rahi hai or agar hum kisi vajhase se bank nahi jaa paa rahe hai or hamare pass sms banking ya internet banking ki suvidha nahi hai to yh code aapko bahut kaam aa sakta hai . Hum jab bhi apna paisa bank me jama karte hai to bahut se bank me pass book update nahi kiya jata ya fir uske liye printer machine hoti hai par vha bhi kafi bhid lagi rahti hai to hame yha pata nahi hota ki hamare account kitna paisa jama ho gya hai ya nikala gya hai. 
To usake liye aaj main aapko kuch number batane ja raha jisaki madat se aapko aapke account me kitani rashi hai vha pata chal jayengi or ha khas bat hai ki hame bank ki taraf se mini statement bhi pata kar sakte hai.    
App ke paas bus bank register mobile no hona chahiye or fir aako kuch number dial karna hai jaise aap agar sbi bank user ko to aapko *99*41# dial karna hai fir vh aapko kuch option denga jaise balance chque ya mini statement jaise.
1. Har bank ke sms code jise Multimodal Code kahte hai jise aap apne mobile par deal kar le. 
2. Agar aapko Short Code punche to use bank ka short Code de
2. IFSC Code kabhi kabhi pucha jata hai to aap uska bhi use kar sakte hai.
Dosto yha ek dam free hota hai or eske liye aapke mobile par balance nahi bhi ho to aap yh seva ka labh le sakte hai or iske liye koi bhi internet ki aavshyakata nahi hai.
Agar aapko aapka Aadhar card ka Over Draft Status dekhana hai ho to *99*99# dial karke pata kar sakte hai.

Bank sms number is prakar hai.

Apane Bank account ka balance free main kaise dekhe
Apane Bank account ka balance free main kaise dekhe

Thanks !

Read More

Thursday 10 November 2016

// // Leave a Comment

Blogger Blog me youTube video kaise add kare

Blogger Blog me youTube video kaise add kare

Dosto aaj ke jamane main youTube kon nahi janta . Jo bhi thoda babhut computer ya mobile ka use karta hai vha YouTube ke bare main jarur pata hai. Yh ke eysi search engine hai jaha anginat video hum aasani se dekha sakte hai.
Vaise aaj kal Blogging bhi bahut popular hai. YouTube or Blogging on line paise kamane ka ek aasan tarika ban gya hai. jaise hum apne vichar ya article logo tak pahuchana chahate hai to aap blog ka sahara lete hai. Us tarha jab hum koi apna video YouTube par upload karte hai to usase bhi hume online paisa kama sakte hai. To socho dosto agar hum dono ko mila de to kaise honga.

Blogger me YouTube video kay jaruri hai ?

Jaise ki aap chahte hai aapne koi blog ke liye article likha hai or usase related koi video aapne banaya hai to yh aapke blog me dikhana bahut raruri hai jaise ki aapne bahut sare bog me dekha honga. usase yh bhi fayda hota hai ki visitor ko aapne likha article video ke dvara jald se jald samaj aa jata hai. Agar aapne apne post ke liye ko video nahi babaya hai par aapko Youtube ka koi video pasnd aa gaya hai to aap vh video bhi aap apne blog par jarur laga sakte hai.   

To aaj ka article hai ki aap apne blog me YouTube video kaise rakh sakte hai ? 

yh post likhane se pahle mai aapko bata dena chahata hu ki aap sirf vh video ko aap apne blog me rakh sakte hai vh video ko edit nahi kar sakte.

Step 1.

Sabse pahle aapko jo bhi YouTube ka video aapke blog me chahiye uska link ko copy kare.

Blogger Blog me youTube video kaise add kare


Step 2.

Fir aapko jo menu dikh raha hai vaha aapko video ka symbol dikh raha hai us par click kare.

Blogger Blog me youTube video kaise add kare

Step 3. 

Yha aapko add a video ka page open honga vha par upload , Form youTube, My YouTube videos, Form your phone ke option open honge agar aapko aapne banaya video blog me rakhna hai to upload option par click kare. agar youTube se video rakhna hai to aap Form YouTube ka option chune , ya fir aapka koi youTube channel hai to aap vha se bhi video le sakte hai My YouTube videos ka option chunkar. ya fir agar aapke mobile se bhi yha video le sakte hai From your phone ka option chunkar. 
Blogger Blog me youTube video kaise add kare

Step 4.

Maine yha Form YouTube ka option chun liya hai to vha muze line peast karne ki anumati de raha hai aapne jo bhi line copy ki hai use yha peast kare.

Blogger Blog me youTube video kaise add kare

Step 5.

Ab aapke samne jo bhi aapne video select kiya hai vha open ho jayenga bas use select karna hai or fir submit karna hai. Itna karne par aapke Blog me vh video dikhna shuru ho jayenga.

Blogger Blog me youTube video kaise add kare


Thanks !
Read More

Wednesday 9 November 2016

// // Leave a Comment

Blog me Search Description kaise Add kare

Search Description kya hai ?

Dosto jab bhi App koi blog banate ho to seo ke hisab se aapko vha search Description dena hota hai ye bahut jaruri hai. jisse ki aapke dvara likha gaya article se aapka blog google ke search engine ke pahle page par aa jaye jisse ki aapke blog ka traffic badh jaye. 
jaise Example ke tour par Agar koi mera diya gaya koi article jaise "gmail account password bhul jane par kay kare " yh likh kar search karenga to mera blog google ki pahle page par open honga.

Search Description me kay likhe ?

 App jo bhi article likh rahe hai wo ki par aadharit hai uske bare mai short me description likhana hai jisase ki search engine ko aapka likha gya article samaj aa jaye or vh use search engine me jald se jald le le.  

Search Description Apne Blog me kaise rakhe ?

Step 1 . 

Sabse pahle aap Blog menu me jakar setting open kare fir aapko other ke upar Search perferences par click kare
Blog me Search Description kaise Add kare

Step 2 .

Yha aapko Meta tags open ho jayenga yha Description [Disabled] Edit karna hai.
Blog me Search Description kaise Add kare

Step 3.

Enable search description Yes ke aage chek lagana hai .
Blog me Search Description kaise Add kare
Step 4. 
Yha bahut mahatv purn hai yha aapko apne Blog ke bare me short me Description likhana hota jyada se jyada 150 characters mai.

Blog me Search Description kaise Add kare

Step 5.

Ab aap jub bhi koi new post likhonge ya aapne jo bhi post publish ki hai vha ek new menu add ho jayenga Search Description ka us par aapko click karna hai. 
Blog me Search Description kaise Add kare

Step 6 .

Ant me aapko search Description me aapne jo bhi post likhi hai usake bare me short me description likhana hai.
Blog me Search Description kaise Add kare

Thanks !

Read More

Thursday 3 November 2016

// // 22 comments

signature kaise kare alag alag style me

signature kaise kare alag alag style me
Dosto aaj yha aapke liye maine kuch naya karne ka socha hai jaise ham jab bhi apni signature karte hai to hame lagta hai ki hamari signature bahut achhi dikhe . Uske liye maine aaj aapke liye kuch option diye hai bas aapko apna naam yha dena hai or submit karna hai aapko aapke naam ki kuch signature aa jayengi .
Agar aap kuch is tarha ka Signature Blog banana chahte hai to comment de main puri tarha aapki help karunga. ye to ek chotisi koshosh hai jo ki maine 10 ya 15 minot gaye honge esase bhi achi tahra yha signature Blog ban sakta hai.
Pasand aane par comment jarur de.

Read More
// // Leave a Comment

face book password bhul jane par kay kare

facebook password bhul jane par kay kare
Dosto hum agar bahut dino tak facebook account na use kare to to hum aasani se apna facebook id ya password bhul jate hai . Or fir jab bahut dino ke bad aapna id open karte hai to hum pate hai ki hamara id open nahi ho raha hai to hame bahut pareshani hoti hai to uske aaj mai aapko ek aasan tarika batane ja raha hu jisase hum apne id or id ka password aasani se paa sakte hai.

Read More

Wednesday 2 November 2016

// // Leave a Comment

facebook account ka password kaise chang kare

face book account ka password kaise chang kare

Namskar Dosto
Kaise ho ..............

Aaj mai aapko facebook ka password kaise chang karte vh batane ja raha hu . Dosto facebook ek social media site hai or kabhibhi hack ho sakti agar hum batut dino tak aapna facebook id use na kare to ya fir aapko lagta hai ki aap kisi intent cafe ya dost ke yaha aapna id remember kar liya hai to aapke facebook id ka galat estmal ho sakta hai jo ek jurm ho sakta hai. jai se kare koi or bharna aapko pad sakta hai.
Dosto mere rai main to har 3 te 4 mahine mai apna facebook id password Chang kar lena chahiye jisese ki aapka facebook id safe rahe.
To Dosto aapko ek dum aasan tarike ke sath batane jaa rahahu ki facebook id ka password kaise Chang kare .

Step 1.

Sabse pahle aap apne facebook id par login ho jaye.

 Step 2 .

login hone par aapko right site par notifications ke ke site me aapko ek arrow dikheng vha click kar ke setting me jaye.

Step 3.

fir settings me click karke aapko ek box aayenga vaha aapko password me edit karna hai.

Step 4 .

Ab aapko apna current password vha dena hai or fir new password dena hai fir Re-type new password dena hai ant main save chang karna hai.


Step 5.

Jab aap current password new password dete hai to kuch is tarha massage aata hai.



Step 6. 

Save Changes karke aapne safalta purvak aapne facebook account ka password chang kar liya hai.

Thanks !

Read More

Tuesday 3 May 2016

// // 1 comment

Apne mobile par kisi bhi sim kard ke liye 'Do Not Disturb Service' Activate kaise kare ?

Aaj hamare sabke pass mobile hai. Or hum alag alag trha ke sim card use karte hai lekin jub bhi hum hamare mobile ke liye kai sim card kharidte hai to vha sim card ki har service active ho jati hai jisse hame bahut si company ke sms ya coll aate hai. Lekin jab hume yah service nahi honi hoti hai to hum use kahte hai ki 'Do Not Disturb' .
Esase ek fayda yh hota hai ki hame hamare hisab se hi sms ya coll aate hai. 
To Dosto hum janege ki  'Do Not Disturb' service kaise shuru karte hai.

Read More

Saturday 23 April 2016

// // Leave a Comment

Corrupted Memory card ko kaise thik kare

Aaj hum sab Mobile or internet se jude huye hai. jaise hamare paas koi mobile hai computer hai usme hum apne kaoi bhi image, video ya data memory card me rakhate hai par kabhi kabhi kisi karan vash vh corrupted ho jati hai jisse hamara personal data bhi uske sath chala jata hai par aaj me aapko ek ayse software se milana chahata hu jise aap aapke mobile ya pc par download karke kisi bhi Corrupted memory ko thik karke aap apana Data vapas pa sakte hai.
Read More

Tuesday 19 April 2016

// // 39 comments

Live Cricket Score apne Blog ya Website par kaise dikhaye

Aaj to cricket ka khumar to har kisike sar chadhake bolta hai. par har koi kisi karna vash live cricket nahi dekh sakta lekin live cricket score janane ki utsukta har kisi ko hoti hai. Agar aap ke Blog ki Traffic baht jyada hai to yh aapke visitor ke liye ek trha ka tohfa hi sabit honga. Agar Blog ki Traffic kam hai to yh aapke Blog ki Traffic badhane me jarur madat karenga. Or esase Return Visitor ke aane ki sambhavana hamesha jarur bani rahengi.



Read More

Monday 18 April 2016

// // Leave a Comment

Top 5 Best Selfie Apps Android

Aaj ka jamana selfie ka hai. aaj ka youth to eske piche diwana hai har koi chahta hai ki vh khubsurat dekhe or unki tasvir bahut achi aaye. To uske liye vh alag alag jagah jakar apni selfie le lete hai par kis karan vsh vh utni achi nahi aati hai. Agar aap handsome look, Beauty full dikhana chahate ho to yh apps jarur use kar sakte ho yh aapko Google play store me aasani se mil jayengi   

Read More

Saturday 16 April 2016

// // 2 comments

Car Drive karne valo ke liye 5 Apps jarur Download kare

Jo log Car Drive karna jante hai. Or Alag Alag jagaha ghumna chahate hai to un logo ko har jagah ke baare me pata nahi hota to aapko yha ise Mobile Apps se parichit karne ja raha hu ki use aap apne mobile par jarur Download kar le jisse ki aapko Drive karne me Jaise Road map aapko yha aasani se pata chal jayengi Or aapko yh apps Drive ke liye Help karengi.


Read More

Friday 15 April 2016

// // 1 comment

Computer ya laptop ka password kaise change kare

Computer ya laptop aap use kar rahe ho or agar aapko lagta hai ki hamara password kuch any logo ko pata chal gya hai or aap chahate ho ki aapka PC ya Laptop surkshit rahe to aapne computer ka password change kar sakte hai. 

Read More
// // Leave a Comment

computer ya Laptop ka IP Address kaise pata kare

Agar aapko computer ya Laptop ya IP Address pasta karna hai to . Aaj mai bahut hi aasan tarika batane jaa rha hu jisse aap aasanise IP Address pata kar sakte hai.

Read More

Tuesday 12 April 2016

// // 8 comments

ONLINE PAN CARD KAISE BANAYE ?

pichali post me maine aapko bataya tha ki PAN card ke liye jaruri Document kya chahiye aagar aapke aap unmese koi bhi Document ho to aap online PAN card aasanise nikal sakte hai . Vobhi kisibhi Agent ke bina kam se kam muly par.



Read More

Monday 11 April 2016

// // Leave a Comment

online PAN card ke liye Jaruri Document

Dosto aaj PAN card ke baare hum sabhi ko pata hai ki yh kya hota hai. Yh bahut jaruri document hai jo Government of India ki tarfse hame milta hai . PAN card ka full form hai (Permanent Account Number) jo income Tax department ki manyata parpt hota hai.



Read More